Rabb-e-Aalam ne tujh ko bulaya wahan, Jis jagah pe kisi ko bulaya nahin Ek jalwe ne Musa ko be-khud kiya, Lamakan par bhi tu dagmagaya nahin
Un se Meraj ki shab ye Haq ne kaha Yun to pyare hain mujh ko sabhi ambiya Par mujh ko teri qasam tujh se pehle yahan Mere mehboob koi bhi aaya nahin
Main hoon talib tera mera matloob tu Ambiya mein mujhe sab se mehboob tu Main tera aur mujh se hai mansoob tu Mera jism nahin tera saya nahin
Waqt rangeen nazaron mein dhalta raha Raha bistar garam pani chalta raha Um-e-Hani khadi thin magar be-khabar Jaise ghar un ke koi bhi aaya nahin
Do kareemon ki Nasir mulaqat hai Kis qadar mohtaram aaj ki raat hai Kitna ummat se hai pyaar Sarkar ko Lamakan pe bhi hum ko bhulaya nahin