Rabb-e Aalam ne tujh ko bulaya wahan jahan par kisi ko bulaya nahi
Aik jalwe ne Musa ko bekhud kiya laamkaan par bhi to dagmagaya nahi
Un se mi'raaj ki shab yeh haq ne kaha yun to pyaare hain mujh ko sabhi Anbiya
Mere nazdeek aa mere aa aaj tujh se to kuch bhi chhupaaya nahi
Paas apne bulaane ka tha mudda taake tera bhi chal jaaye sab ko pata
Mujh ko teri qasam tujh se pehle yahaan mere mehboob koi bhi aaya nahi
Jis ko Arsh-e-Ma'la bani raah guzri jo latata hai anwaar shaam o sahar
Usko kyon na saraapaa rehmat kahin jis ne dushman ka dil bhi dikhaya nahi
Waqt rangeen nazaroon mein dhalta raha, raha bistar garm pani chalata raha
Umm Hani khari thi magar be-barji jaise ghira us ke koi bhi aaya nahi
Main hoon taalib tera mera matloob to Anbiya mein mujhe sab se mehboob to
Main tera aur mujh se hai nasab to jism mera nahi tera saya nahi
Hai jahan tak bhi sun le khudai meri is khudai pe hai Mustafa-i teri
Dekhun main tujhe deh le to mujhe tujh ko sab kuch diya kuch bachaya nahi
Do kareemon ki Nasir mulaaqaat hai kis qadr muhtaram aaj ki raat hai
Kitna ummat se hai pyaar Sarkar ko laamkaan pe bhi hum ko bhulaaya nahi