Raatein bhi Madine ki baatein bhi Madine ki Jeenay mein yeh jeena hai kya baat hai jeenay ki
Arsa hua Taiba ki galiyon se woh guzray thay Us waqt bhi galiyon mein khushbu hai paseenay ki
Woh apni nigahon se mastana banatay hain Mastana banatay hain deewana banatay hain Deewana banatay hain aur khwab mein aatay hain Woh khwab mein aatay hain deedar mein aatay hain
Tareef ke laiq toh alfaaz nahi miltay Tareef karay koi kis tarah Madine ki
Taiba mein hi bulwa lo Taiba mein hi madfan ho Taiba mein jaana hai aarzu hai yeh seenay mein
Sarkar ﷺ bulayenge deewanay yeh jayenge Koshish toh karay koi ek baar Madine mein
Har saal ke jaanay ka hai raaz yahi Mirzaؔ Sarkar ﷺ jagatay hain taqdeer kameenay ki