Qurb-o-jawar-e-Rehmat-e-Alam panah mein Sad shukr mera dil bhi hai un ki nigah mein
Shahr-e-Nabi ki khak se paate hain roshni Warna chamak damak hai kahan mehr-o-mah mein
Mehshar mein jab hon pesh-e-Khuda sab huzoor phir Rakhna gunahgar ko apni panah mein Har ek tabib ne hai bataya yahi ilaj Bimar ki dawa hai teri gard-e-rah mein
Ek aadat-e-durood hi fakhr-e-hayat hai Khubi nahi hai warna koi roosiyah mein