Qalb mein ishq-e-Aal rakha hai Khoob is ko sambhaal rakha hai
Aisa jood-o-nawal rakha hai Sab ghulamon ko paal rakha hai
Shukr tera ke un ki ummat mein Mujh ko ae Zuljalal rakha hai
Jama kar ke kabhi na Sarwar ne Koi maal-o-manaal rakha hai
Hubb-e-dunya ne Ya RasoolAllah Mujh ko mushkil mein daal rakha hai
Jo bhi dekhe bane woh deewana Un mein aisa jamal rakha hai
Jald leeje khabar gunahon ke Dard ne kar nidhal rakha hai
Aisa do ishq sab kahen is ke Dil mein soz-e-Bilal rakha hai
Naar-e-dozakh jalaye gi kyun kar Dil mein ishq un ka daal rakha hai
Hoon gunahgar par ghulamon mein Tum ne ab bhi bahaal rakha hai
Main nisaar aap ne sada mera Har qadam par khayal rakha hai
Main jahannam mein gir gaya hota Aap hi ne sambhaal rakha hai
Mustafa ne hamare aibon par Parda daman ka daal rakha hai
Shukriya tum ne Aal ka sadqa Meri jholi mein daal rakha hai ’’ Chal Madinah‘‘ ki bheek mil jaaye Aashiqon ne sawal rakha hai
De do zaad-e-safar Madine ka Sailon ne sawal rakha hai
Dekho deewano! sabz gumbad mein Kaisa husn-o-jamal rakha hai
Kyun jahannam mein jaaun seene mein Ishq-e-Ashab-o-Aal rakha hai
Main kabhi ka bhatak gaya hota Aap hi ne sambhaal rakha hai
Aashiq-e-maal is mein soch aakhir Kya urooj-o-kamaal rakha hai?
Tujh ko mil jaaye ga jo qismat mein Teri, rizq-e-halal rakha hai
Is jahan ke kamaal mein be-shak Ik na ek din zawaal rakha hai
Tujh se Aaqa tere sawali ne Maghfirat ka sawal rakha hai
Sun lo shaitan ne har su shehwat ka Khoob phaila ke jaal rakha hai
Jannati hai woh jis ne sunnat ke Khud ko sanche mein dhaal rakha hai
Jo hai gustakh-e-Mustafa us ko Main ne dil se nikal rakha hai
Kis qadar bakhtawar hai woh momin Jis ke paas un ka baal rakha hai
Muflisi ka main kyun karoon shikwa Naimaton se nihaal rakha hai
Maal ki hirs mat karo is mein Do jahan ka wabaal rakha hai
Yeh karam hi to un ka hai Attar Tujh nikamme ko paal rakha hai