Pukaaro Ya Rasool Allah ﷺ Pukaaro Ya Rasool Allah ﷺ
Ya Habib-e-Kibriya ahlan wa sahlan marhaba Aaye Shah-e-Anbiya ahlan wa sahlan marhaba Raaz daar-e-Kibriya ahlan wa sahlan marhaba Mazhar-e-Rabb-ul-Ula ahlan wa sahlan marhaba
Tum bhi karke unka charcha apne dil chamkao Oonche mein ooncha Nabi ﷺ ka jhanda Aala se bala Nabi ﷺ ka jhanda Azmat wala Nabi ﷺ ka jhanda
Ghar ghar mein lehrao pukaaro Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah. . . .
Aamina ke dilruba ahlan wa sahlan marhaba Ae Halima ke piya ahlan wa sahlan marhaba Tajdar-e-Anbiya ahlan wa sahlan marhaba Mursaleen ke peshwa ahlan wa sahlan marhaba
Tum bhi karke unka charcha apne dil chamkao Oonche mein ooncha Nabi ﷺ ka jhanda Aala se bala Nabi ﷺ ka jhanda Azmat wala Nabi ﷺ ka jhanda
Ghar ghar mein lehrao pukaaro Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah ﷺ
Chaand sa chamkate chehra noor barsate hue Aa gaye Badr-ud-Duja ahlan wa sahlan marhaba Aamina ke ghar mein Aaqa ﷺ wiladat ho gayi Marhaba sall-e-ala ahlan wa sahlan marhaba
Tum bhi karke unka charcha apne dil chamkao Oonche mein ooncha Nabi ﷺ ka jhanda Aala se bala Nabi ﷺ ka jhanda Azmat wala Nabi ﷺ ka jhanda
Ghar ghar mein lehrao pukaaro Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah ﷺ. .
Jhuk gaya Kaaba sabhi but munh ke bal oondhe gire Dabdaba aamad ka tha ahlan wa sahlan marhaba Soyi qismat jaag uthi aur sab ki bigdi ban gayi Baab-e-rehmat ho gaya ahlan wa sahlan marhaba
Aate hi sajde mein gir kar Rabbi habli ummati Arz-e-Haq se kar diya ahlan wa sahlan marhaba Khoob jhoomo Aasiyo! muskuraate aa gaye Shafi-e-roz-e-jaza ﷺ ahlan wa sahlan marhaba
Tum bhi karke unka charcha apne dil chamkao. . . .
Eid-e-Milad-un-Nabi ﷺ hai chaar jaanib hai roshni Har taraf hai ghulghula ahlan wa sahlan marhaba Qabr mein Attar ki aamad ho jab Sarkar ﷺ ki Ho zabaan par Ya Khuda ahlan wa sahlan marhaba
Pukaaro Ya Rasool Allah Ya Rasool Allah ﷺ