Poochhte kya ho Madinah se main kya laaya hoon
apni aankhon mein Madinah ko basaa laaya hoon
jaan o dil rakh ke main tayiba mein amanat ki tarah
phir wahan jaane ke asbaab bana laaya hoon
saye-e gumbad Khizri mein ada kar ke namaz
sar ko main arsh ka hum paya bana laaya hoon
dil bhi mera hai wahin jaan bhi meri hai wahin
laash ko apni main kandhon pe utha laaya hoon
jis ne chume hain qadam sarwar-e-alam ﷺ ke
us khak-e tayiba ko main palakon pe saja laaya hoon