Phir se bulaao jald Madine mein Ya Rasool Kardo karam Huzoor! paye Fatimah Batool
Duniya parast zar pe mare gul pe andaleeb Apna to intekhab Madine ka hai babool
Beemar-e-hijr ka abhi ho jaayega ilaaj Jaa'o utha ke laao Madine ki thodi dhool
Duniya ki lizzaton se meri jaan chhoot jaaye Mujh ko bana de Ya Khuda to aashiq-e-Rasool
Meri zabaan tar rahe zikr-o-durood se Be-ja hanson kabhi na karoon guftagu fuzool
Meri pasand khaar-e-Madinah hai bulbulon Le kar main kya karoon ga tumhaare yahan ke phool
Khush-bakht be-shumaar Madine mein dafan hain Ho jaaye in mein kaash! mera bhi kabhi shumool
Parchar sunnaton ka jo karta hai raat din Hardam ho us pe rehmaton ka Ya Khuda nuzool
Deta hoon tujh ko wasta Ya Rabb Huzoor ka Har har khata tu bakhsh de kar har muaaf bhool
Ghaus-o-Raza ka wasta Ya Shaafi-e-Umam Rakhna na mujh ko hashr mein ranjeeda-o-malool
Gar lamha bhar bhi haziri Taibah ki ho naseeb Haasil yahi hai zeest ka mehnat hui wasool
Sarkar! chaar yaar ke sadqe mein ho karam Attar ko sada ke liye kar lo tum qabool