Phir mujhe Aaqa Madine mein bulaya shukriya Shukriya phir Gumbad-e-Khizra dikhaya shukriya
Jis jagah aathon pahar anwaar ki hain baarishein Aisi noorani fazaon mein bulaya shukriya
Rauza-e-Anwar ke zaair ke shaha tum ho shafee Meri bakhshish ka bahana yun banaya shukriya
Phir tawaf-e-Khana-e-Kaaba ka bakhsha hai sharaf Khoob Aaqa aab-e-zam zam bhi pilaya shukriya
Mujh se aasi ko sharaf hajj ka ata farma diya Kis zaban se ho ada tera Khudaya shukriya
Ya Ilahi! apne pyare ki wiladat gah ka Meethe Makkah mein mujhe jalwa dikhaya shukriya
Bheek lene ke liye Ya Rab Habib-e-Pak ka Aastana hum ghareebon ko dikhaya shukriya
Phir Madine ki haseen o khoobsurat wadiyon Ka haseen o dilkusha manzar dikhaya shukriya
Masjid-e-Nabvi ke mehrab aur minbar ka shaha! Dilnawaz o dilruba jalwa dikhaya shukriya
Munh lagata tha kahan duniya mein koi bhi mujhe Aise nakara nikam'me ko nibhaya shukriya
Aah! tum roya kiye ummat ke gham mein Ya Nabi Hausla hum aasiyon ka yun badhaya shukriya
Khud rahe bhooke shikam par apne patthar bandhe aur Pyar se tum ne hamein khana khilaya shukriya
Mujh zaleel o khwar dunyadar ki auqat kya! Main Nisar Aaqa mujhe phir bhi nibhaya shukriya
Ya RasoolAllah! logon ne mujhe thukra diya Tha magar tu ne mujhe apna banaya shukriya
Is qadar lutf o inayat apne nafarman par Apne gham mein apni ulfat mein rulaya shukriya
Sunnaton ko aam karne ka mujhe jazba diya Ahl-e-Sunnat ka mujhe khadim banaya shukriya
Shukriya kyonkar shaha tere karam ka ho ada Mujh se aasi ko ghulam apna banaya shukriya
Meri izzat Ahl-e-Sunnat ke dilon mein daal di Aur aada par mira sikka bithaya shukriya
Dil se jis ne bhi Aghisni Ya RasoolAllah! kaha Aafton se aap ne us ko bachaya shukriya
Khatima bil khair ho mera Madine mein agar Baal baal utthe pukare apna, Khudaya shukriya
Dafn karke jab mire ahbab Aaqa chal diye Lahad ko jalwon se aakar jagmagaya shukriya
Pyaas abhi badhne bhi payi thi na meri hashr mein Jaam-e-Kausar jald rahmat se pilaya shukriya
Aib mahshar mein khulahi chahte the main Nisar Dhak ke parda apne daman ka chhupaya shukriya
Sue dozakh jab malaik mujh ko lekar chal diye Main tere sadqe mujhe aakar chhudaya shukriya
Shukriya kyonkar ada ho aap ka Ya Mustafa Hai padosi khuld mein apna banaya shukriya
Garchih shetan har ghari imaan ki hai ghaat mein Tum ne thama, jab kabhi main dagmagaya shukriya
Daulat-e-imaan ata ki apne daman mein liya Kufr se hum benawaon ko bachaya shukriya
De diya Attar ko murshid Ziyauddin sa Aur sag-e-Ghaus o Raza is ko banaya shukriya