Phir Madine ki fazayein pa gaya Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Apne sar par laad kar baar-e-gunah Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Aah! palle nekiyan kuch bhi nahin Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Is ke naame ki siyahi door ho Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Nekiyon se do badal is ke gunah Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Dejiye is ko shafa’at ki sanad Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Az paye Ghous-o-Raza ho maghfirat Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Sadqa shahzadon ka ho chashm-e-karam Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Le kar umeed-e-karam jaan-e-karam Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Wasta Zahra ka do khuld-e-bareen Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Us ko bhi tum toh lagate ho gale Jis ko har darwaze se tala gaya
Ae mere sarwar ata ho chashm-e-tar Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Qalb-e-muztar ka sawali hoon shaha Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Dejiye soz-e-jigar Sultan-e-Deen Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Mera seena hi Madina do bana Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Ya Nabi qufl-e-Madina dejiye Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Sayyidi! akhlaq achhe kijiye Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Le ke kashkol aap ke darbar mein Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Door ho jaye gunahon ka marz Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Do bana mujh ko pasandida ghulam Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Daulat-e-ikhlas ho Aaqa ata Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Aap ki nazar-e-karam joon hi padi Abr-e-rehmat mere sar par chha gaya
Al-madad ae Amina ke ladle Haye! mujh par nafs ghalib aa gaya
Badr-e-kamil dekh kar talwa tera Faq hua pheeka pada sharma gaya
Allah Allah! aap ka husn-o-jamal Dost kya dushman ke dil ko bha gaya
Dushman-e-Mehboob Bu-Jahl-e-la’een Badr mein ruswa hua mara gaya
Gulshan-e-aalam ki kya dekhun bahaar Mere dil ko dasht-e-Tayyaba bha gaya
Nakhun-e-paki ziyayein marhaba! Yeh hilal-e-Eid bhi sharma gaya
Sabz gumbad ki baharein dekh lo! Aankh kholo dekho Roza aa gaya
Le ke palta un se munh mangi murad Jo koi darbar mein mangta gaya
Qafila soye Madina jab chala Lab pe na'aton ka tarana aa gaya
Chaand do tukde hua sadqe gaya Jab ishara Mustafa ka pa gaya
Pa ke marzi Sarwar-e-Konain ki Dooba sooraj phir palat kar aa gaya
Marhaba sall-e-ala ka shor utha Hashr mein jab un ka deewana gaya
Naaz uthaye the jahan mein jis ke woh Hashr mein naazon ka pala aa gaya
Hashr mein un ke gada ko dekh kar Khud jahannam ko paseena aa gaya
Aankh thandi ho tere deedar se Talib-e-deedar dar par aa gaya
Shor utha mehshar mein yeh charon taraf Aa gaya Attar un ka aa gaya