Phir Gumbad-e-Khazra ki fizaon mein bulalo Sarkar bula kar mujhe qadmon se lagalo
Qadmon se laga kar mujhe deewana banalo Duniya ki mohabbat ko mere dil se nikalo
Go khwar-o-gunahgar hoon jaisa hoon tumhara Sarkar! nibhalo mujhe Sarkar nibhalo
Sadqa mujhe Sarkar nawason ka ata ho Aghyar ke tukron se Shahanshah bachalo
Ya Shah-e-Madinah meri imdad ko aao Aafat-o-baliyaat ke panjon se nikalo
Toofan ki maujon mein jahaz apna ghira hai Sarkar! bachalo ise Sarkar! bachalo
Sarkar! mere khoon ka pyasa hua dushman Shahzadon ka sadqa mujhe dushman se bachalo
Ujar hui jaati hai meri zeest ki basti Ho jaye gi aabad nazar lutf ki daalo
Veeran hua jata hai khushiyon ka gulistan Is ujray chaman par bhi nigah-e-lutf ki daalo
Dam torne wala hai gunahon ka mareez ab Aye jaan-e-Maseeha! ise tum aake bachalo
Marne ka sharaf ab to Madine mein ata ho Dar dar ki mujhe thhokron se Shah bachalo
Madfan ho ata meethay Madine ki gali mein Lillah parosi mujhe jannat mein bana lo
Khenchay liye jaatay hain jahannam ko malaik Aye Shafe-e-Mahshar paye Shaikhain bachalo
Furqat mein taraptay hain jo maskeen becharay Asbab ata kar ke unhein dar pe bulalo
Mehboob-e-Khuda! sar pe ajal aake khari hai Shaitan se Attar ka imaan bachalo