Phir aane lagen shehr-e-mohabbat ki hawaaen Phir pesh-e-nazar ho gaeen jannat ki fazaaen
Aye qafle walo kaheen, woh Gumbad-e-Khizra Phir aaen nazar hum ko ke tum ko bhi dikhaen
Haath aaen agar khaak tere naqsh-e-qadam ki Sar par kabhi rakhein kabhi aankhon se lagaen
Nazaara parwari ki ajab shaan hai paida Yeh shakl-o-shamaail yeh abaaien yeh qabaaien
Karte hain azizaan-e-Madinah ki jo khidmat Hasrat unhein dete hain woh sab dil se duaen