Paaun woh aankh tujh se ae Parwardigar mein Rota rahoon gham-e-Nabi mein zaar zaar mein
Din raat hijr-e-Shah mein aahein bhara karoon Roya karoon firaq mein zaaroqitaar mein
Kehna na Hajj mubarak ae ahl-e-watan mujhe Haaye firaq-e-Taibah se hoon dilfigar mein
Daagh-e-mufaraqat toh mila kaash! ab aisa ho Roya karoon firaq mein zaaroqitaar mein
Seena tapan ata ho mile qalb-e-muztarib Gham mein tumhare kaash! rahoon be-qarar mein
Dasht-e-Haram pe waari mein, qumri chaman pe tu Tu phool le le Taibah ka leta hoon khaar mein
Woh din ab aaye khair se Ya Rabb-e-Mustafa Soo-e-Madinah chal paroon phir ashkbaar mein
Joon hi mujhe Habib ka jalwa naseeb ho Ae kaash! jaan us ghari kar doon nisar mein
Zuhdo-wara mein Ya Nabi tum be-misaal ho Be-had gunahgar mein isyan shiar mein
Gum ho ke ishq-e-Mustafa mein ae Khudaye Pak Karta rahoon bayan sada ashkbaar mein
Tableegh-e-deen ke liye dar dar phiroon ae kaash! Talib hoon aise walwale ka Kardagar mein
Attar nekiyan na thin zaad-e-safar mein kuch Le kar gaya tha dar pe bas ashkon ka haar mein