We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Num Nigahon Se WuzuNot Verified

Shakir Kandan

Nam nigahon se wuzu karta hoon main Aapؐ ki phir guftagu karta hoon main



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Aakhri hichki ho aur Aaqaؐ ka dar Bas yahi ik aarzu karta hoon main


Kaash mil jaaye ghulami ki sanad Hasrat-e-tauq-e-gulu karta hoon main


Zikr-haaye Ahmad-e-Mukhtarؐ se Dasht-e-dil mein rang-o-bu karta hoon main


Hai woh hasti markaz-e-dunya-o-deen Jis ki har pal justuju karta hoon main

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah