Shukr Khuda karo, mah-e-Rahman aa gaya Taqseem karne ne'matein, Ramzan aa gaya
Allah tera hai ehsaan Rozay, namazein, aur Quran Hain yeh sab rooh-e-imaan Noor-e-Ramzan
Ilm mashroot hai amal se Aur yeh hasil hota hai, jab koshish ki jaaye dil se
Ilm-o-adab sikhlayenge Deen-e-Khuda phailayenge Masjid mein bhi jayenge Hamd-o-naat sunayenge
Allah tera hai ehsaan Tu ne barha di sab ki shaan Aaya hai ban ke mehmaan Noor-e-Ramzan
Deen-e-Islam mohabbat ka payam Allah ka inaam, Khaliq ka hai paigham
Kaisi hawa-e-ishq chali? Khatam hui nafrat dil ki Baant rahein hain pyaar sabhi Sehri ho ya iftari
Allah tera hai ehsaan Ek huay saaray insaan Saj gaye ghar ghar dastarkhwan Noor-e-Ramzan
Meri khatir Khuda tu ne kya kya kiya Tu ne khushiyon se daaman mera bhar diya Aur badle mein main ne tujhe kya diya In gunahon pe dil ro raha hai mera
Main ne maa baap ka haq ada na kiya Tere bandon ka dil bhi dikhaya bara Na hi khairaat ki, na hi sadqa diya Sirf apne hi baare mein socha kiya
Na namazein parhein, na hi roza rakha Aur ibadaat ka haq ada na hua Phir bhi tu ne karam apna jaari rakha Tu sakhi hai bara, tu sakhi hai bara
Main pashemaan hoon, raham kar de Khuda Raham kar de Khuda, raham kar de Khuda
Hai yeh bakhshish ka saaman Sajday mein hai har insaan Kya Sajjad aur kya Farhan Noor-e-Ramzan