Nazar aa raha hai woh dar Allah Allah Jhuki ja rahi hai nazar Allah Allah
Labon par durood-o-salam aa raha hai Dar-e-Mustafa ﷺ dekh kar Allah Allah
Nazar un ﷺ ke rauze pe unki hui hai Sarakti nahin hai nazar Allah Allah
Nazar daaliye shehar mein jis taraf bhi Sitaron ki hai rehguzar Allah Allah
Khula baab-e-rehmat sar-e-baab-e-rehmat Jhuka ja raha hai jo sar Allah Allah
Yahan auj paate hain wallah sajde Kiye jao sham-o-sahar Allah Allah
Sabhi dam-ba-khud hain kisi ko bhi Rahi Kisi ki nahin hai khabar Allah Allah