We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nashad Zamane Ka Hai ShadNot Verified

Syed Nizam ud Deen Jami Gillani Qadri

Nashad zamane ka hai shad Madine mein Har fikr se har dil hai azad Madine mein


Darbar-e-Nabi ﷺ ke hain aqtab-e-jahan darban Phirte hain gada ban kar autad Madine mein


Shabbar ؓ bhi hai Sajid ؓ bhi Baqir ؓ bhi hai Jafar ؓ bhi Madfoon hai Zahra ؓ ki aulad Madine mein


Khamosh hain Nana ﷺ bhi chup chap hai Zahra ؓ bhi Ab kis se kare Zainab ؓ faryad Madine mein



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Jalwe hain Madine ke Baghdad ki galiyon mein Aata hai nazar Jami ؔ Baghdad Madine mein

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah