Nahin hai koi duniya mein hamara Ya RasoolAllah Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah
Sarapa ma'siyat hoon baar hai be-had gunahon ka Bachana naar-e-dozakh se khudara Ya RasoolAllah
Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah Talatum-khez hai dariya bhanwar mein hai meri kashti
Nazar aata nahin koi kinara Ya RasoolAllah Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah
Faqat a'maal ke badle na paye ga koi jannat Na ho ga jab talak tera ishara Ya RasoolAllah
Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah Haqeeqat mein bahut barh kar ke hai Arsh-e-Mu'alla se
Zameen jis par ho naqsh-e-pa tumhara Ya RasoolAllah Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah
Tarapta hai mera dil aur tarasti hain bahut aankhein Bula lo phir Madine mein dobara Ya RasoolAllah
Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah Gunah-garan-e-ummat ka khajil hona saza paana
Teri rehmat ko kab ho ga gawara Ya RasoolAllah Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah
Dam-e-aakhir zara Husam par itna karam karna Ke us ke lab par ho kalma tumhara Ya RasoolAllah
Faqat hai aap hi ka ik sahara Ya RasoolAllah Nahin hai koi duniya mein hamara Ya RasoolAllah