We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nabi Ka Jhanda Le Kar

Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah


Nabi ka jhanda le kar niklo duniya par chha jao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar mein lehrao


Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah


Khuld mein hoga hamara dakhla us shaan se Ya RasoolAllah ka naara lagate jayenge


Ya RasoolAllah ke naare se hum ko pyar hai Jis ne yeh naara lagaya us ka beda paar hai


Khak ho jayen adu jal kar magar hum toh Raza Dum mein jab tak dum hai zikr un ka sunate jayenge


Hashr tak dalenge hum paidaish-e-Maula ki dhoom Misl-e-Faris Najd ke qiley girate jayenge


Naat khwani maut bhi hum se chura sakti nahi Qabr mein bhi Mustafa ke geet gaate jayenge


Tum bhar kar ke un ka charcha apne dil chamkao Unche mein uncha Nabi ka jhanda ghar ghar mein lehrao


Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Ya Habib-e-Kibriya ahlan wa sahlan marhaba Mustafa-o-Mujtaba ahlan wa sahlan marhaba


Aa gaye Khair-ul-Wara ahlan wa sahlan marhaba Aaye Shah-e-Anbiya ahlan wa sahlan marhaba


Tum bhi kar ke un ka charcha apne dil chamkao Unche mein uncha Nabi ka jhanda ghar ghar mein lehrao


Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Pukaro Ya RasoolAllah Ya HabibAllah

Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah