We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nabi Ka Jhanda Le Kar Niklo

Nabi ka jhanda le kar niklo dunya par chha jao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Pukaaro ya Rasool Allah ﷺ Pukaaro ya Habib Allah ﷺ Aashiq hain jo pak Nabi ke un ko le kar saath chalo Madni Aqa ke mutavalo haath mein daale haath chalo Hubb Nabi ke har dil mein tum jaake deep jalao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Qaryah qaryah basti basti zikr-e Nabi ka aam karo Nabi ki azamat ke gun gao Wird yeh subah o shaam karo Nabi ka jhanda ooncha rahega naara yahi lagaao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Dushman hain jo pak Nabi ke un ko daaf door karo Sanam kadon azmon farqon ke saaye chakna chor karo Ta'leemat-e-Mustafvi ke noor ko yaaro phailaao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Rang birange jhande chhoro tham lo gumbad wala Hum pe raazi ho jaayega Shahr-e-Madinah wala Is jhanda ke saaye tale tum mil ke qadam badhao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Apne shehar ke bazaaron ki is se shaan badhao Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar par lehrao Pukaaro ya Rasool Allah ﷺ Pukaaro ya Habib Allah ﷺ



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah