Naat-e-Rasool ﷺ mera asasa bana rahe Bakhshish ke waaste yeh waseela bana rahe
Lafzon ko jod kar hasil hai jo hunar Tauseef-e-Mustafa ﷺ ka zariya bana rahe
Saanson mein ho durood ki khushbu basi hui Manzil meri Huzoor ﷺ ka uswa bana rahe
Mere Khuda mujhe bhi woh asbaab kar ata Tayyaba ko aane jaane ka rasta bana rahe
Aaye zabaan pe ism-e-Muhammad ﷺ jo Kausari Honton ka us ke gird ik hala bana rahe