Naam lewa tera kocha se tere shaad aaya Kab tere dar se koi laut ke bedaad aaya
Le gaya dil ki muraadon se woh bhar kar daaman Jo tere roze pe karta hua faryaad aaya
Tere roze ko na kyon qibla-e-haajaat kahoon Laut kar shaad gaya jo koi naashaad aaya
Naam ne tere har ik gham se bachaya hum ko Ranj sab bhool gaye tu humein jab yaad aaya
Jab ghulamon ne museebat mein tujhe yaad kiya Aan ki aan mein tu barsar-e-imdaad aaya
Tujh pe qurbaan main aye aaina-e-zaat-e-Khuda Ik nazar dekh liya tujh ko Khuda yaad aaya
Kab woh din hoga Ilahi ke yeh ahbaab kahein Aye Jameel-e-Razvi dekh tu Baghdad aaya