Na kyun aaj jhoomein ke Sarkaar aaye Khuda ki khudai ke mukhtar aaye
Na kyun barahwi par hamein pyaar aaye Ke aaye isi roz Sarkaar aaye
Woh aaye do aalam ke mukhtar aaye Lo aaj aaye ummat ke ghamkhwar aaye
Masarrat se hum kyun na dhoomein machaayein Hamare shahanshah-o-sardar aaye
Musalmano! subh-e-baharan mubarak Woh barsate anwar Sarkaar aaye
Mubarak tujhe Aminah ho mubarak Tere ghar shahanshah-e-abrar aaye
Mubarak Halimah tujhe bhi mubarak Tere ghar mein nabiyon ke sardar aaye
Mubarak tumhein gham ke maaro mubarak Mudawa-e-gham ban ke ghamkhwar aaye
Sawaal apni ummat ki bakhshish ka karte Woh hum aasiyon ke tarafdar aaye
Yateemon ke wali ghareebon ke haami Woh aafat-zadon ke madadgar aaye
Museebat ke maron ki dharas bandhane Shikasta dilon ke khareedar aaye
Siyahi hamare gunahon ki dhone Bahate hue ashk Sarkaar aaye
Jahan mein woh sikka bithane ko deen ka Mitane woh batil ke aasar aaye
Na kyun aaj jashn-e-wiladat manayein Nazar Rab ki rahmat ke aasar aaye
Adad hum ko barah ka kyun ho na pyara Ke barah ko duniya mein Sarkaar aaye
Ghata chha gayi har taraf rahmaton ki Woh lehrate gesoo-e-khamdar aaye
Chalo ae gadao!, chalo be-navao Lutate woh nemat ke anbaar aaye
Duroodon ke gajre liye ab barho tum Woh aaye rasoolon ke salaar aaye
Nahin jin ki pyari zaban par nahin hai Woh Makkah mein sakhiyon ke sardar aaye Wiladat ka sadqa jiyoon mein jahan tak Na nazdeek duniya-e-bekaar aaye Wiladat ka sadqa hamein apna gham do Shaha chashm-e-nam ke talabgar aaye Wiladat ka sadqa ho akhlaq achha Na hum ko hansi Shah bekar aaye Wiladat ka sadqa gunahon se nafrat Ho, achhaiyon par mujhe pyaar aaye Wiladat ka sadqa Baqi-e-Mubarak Ki do gaz zameen ke talabgar aaye Wiladat ka sadqa hoon paband-e-sunnat Hamein aar fashion se Sarkaar aaye Wiladat ka sadqa bayan mein asar do Ho islah us ki jo badkar aaye Wiladat ka sadqa Madine mein Aqa Mujhe maut ae mere Sarkaar aaye Wiladat ka sadqa niqab ab utha do Liye hum sab umeed-e-deedar aaye Wiladat ka sadqa jagah bahr-e-markaz Mile yeh liye arz Sarkaar aaye Wiladat ka sadqa parosi banana Shaha khuld mein jab yeh badkar aaye Wiladat ka sadqa Shaha zindagi bhar Madine mein har saal Attar aaye