Na daulat na maal aur khazine ki baatein Sunao hamein bas Madine ki baatein
Madine ki baatein sunao ke hain yeh Mareez-e-mohabbat ke jeene ki baatein
Muqaddas hain deegar mahine bhi lekin Niraali hain Hajj ke mahine ki baatein
Sunao na Paris ke qisse, sunao Madine ke pyaare safine ki baatein
Na kar mushk-o-ambar ki baatein, bayaan kar Nabi ke mu'attar paseene ki baatein
Meri yaawah-goi ki aadat nikalo Karoon main hamesha qareene ki baatein
Fuzool aur bekaar baaton ke badle Karoon kaash! har dam Madine ki baatein
Go garmi mein mashroob thanda hai marghoob Karo jaam-e-Aaqa se peene ki baatein
Shaha mera! seena Madinah banado Khayalon mein hoon bas Madine ki baatein
Baney kaash! Attar aisa muballigh Mu'assir hon Aaqa kameene ki baatein