Mushkil ne ghheera hai sarkaar madad kardo Har samt andheera hai sarkaar madad kardo Mere dil ko jakra hai ghairon ki mohabbat ne Shaitan ne ghheera hai sarkaar madad kar do Matlab ke yar sabhi har samt hain duniya mein Koi nahi mera hai sarkaar madad kar do Ghan lagta jata hai dukhyaare dil ko mere Nahi us mein savera hai sarkaar madad kardo Hai balaon ne aa aa kar dil chhalni kar daala Dil aashiq tera hai sarkaar madad kar do Saqib ko bulwaa lo tum apne qadamoon mein Yeh aashiq tera hai sarkaar madad kardo