Mursalon mein koi bhi Khair-ul-Basharؐ aisa na tha Martaba un sab ka aala tha, aisa na tha
Naam jab Sarkarؐ ka japta na tha har subah mein Roz hoti thi sahar, husn-e-sahar aisa na tha
La-makan ki had se aage khatm hota hai safar Sidra se aage bhi jata, hamsafar aisa na tha
Ja na sakta jo talash-e-rizq mein Taibah talak Tair-e-takhayyul mera khasta-par aisa na tha
Daagh ungli ke ishare ka hai seene par ayan Aapؐ ke ijaz se pehle qamar aisa na tha