Munawwar meri aankhon ko mere Shams-ud-Duha kar dein Ghamon ki dhoop mein woh saaya-e-zulf-e-duta kar dein
Jahan-bani ata kar dein bhari jannat hiba kar dein Nabi mukhtar-e-kul hain jis ko jo chahein ata kar dein
Jahan mein un ki chalti hai woh dam mein kya se kya kar dein Zameen ko aasmaan kar dein surayya ko sara kar dein
Fiza mein udne wale yun na itraayein nida kar dein Woh jab chahein jise chahein use farman-rawa kar dein
Har ek mauj-e-bala ko mere Maula nakhuda kar dein Meri mushkil ko yun aasaan mere mushkil-kusha kar dein