Mujhe us ki qismat pe rashk aa raha hai Madine ka jis ko bulawa mila hai
Yeh jo hichkiyan baandh kar ro raha hai Gham-e-hijr ne is ko tarpaa diya hai
Tabibo! tumhara yahan kaam kya hai! Ke yeh to mareez-e-Habib-e-Khuda hai
Tere aashiqon ko qarar aaye kyonkar? Madine se doori bari jaanguza hai
Bulalo! isi saal Aaqa bulalo! Shaha! Hajj ka mausam qareeb aa raha hai
Tere dar ke hote kahan jayen Aaqa Ke tu hi ghareebon ka ik aasra hai
Hamari tamannayen bar ayen Maula! Hamara to sab haal tum par khula hai
Safeena kabhi ka mera doob jaata Teri rehmaton ne sahara diya hai
Nigah-e-karam haal-e-khasta jigar par Tasalsul gunah ka barha ja raha hai
Shifa do gunahon ke amraaz se ab Ke bimaar-e-isyaan mara ja raha hai
Gham-e-do jahan se chura ke Khudaya Gham-e-Mustafa de yehi iltija hai
Madina ho seena to seena Madina Meri zindagi ka yehi mudda'a hai
Rahe wird-e-lab bas Madina Madina Yehi aarzoo Ya Rasool-e-Khuda hai
Muballigh banun kaash! main sunnaton ka Sada deen ki khidmat karoon yeh dua hai
Habib-e-Khuda aa ke chamkaiye ab Andhera meri qabr mein chha raha hai
Paye Peer-o-Murshid Baqi-e-Mubarak Ata ho yeh tootay dilon ki sada hai
Shaha! muskuraate huye aa bhi jao! Ke dil shor-e-mehshar se ghabra raha hai
Shaha! apni jannat mein qadmon mein rakhna Yehi aajizana meri iltija hai
Na qadmon se Attarؔ ko door karna Yeh tera gada hai bhala ya bura hai