Mujhe to sirf itna hi yaqeen hai Mera to bas yahi imaan-o-deen hai
Agar tum maqsad-e-aalam nahi ho To phir kuch maqsad-e-aalam nahi hai
Nahi main waqif-e-sirr-e-Ilahi Magar dil mein yeh nukta ja-gazein hai
Jo dil anwaar se un ke hai roshan Wahi Kaaba wahi arsh-e-bareen hai
Yeh samjhe maani-e-Lau-lak main ne Ke hasti bakhshish-e-jaan-aafreen hai
Magar aazaar-e-hasti ka madaawa Ata-e-Rehmat-ul-lil-Aalameen hai
Woh shehr-e-be-hisar un ka, Madinah Ke jis ki khaak armaan-e-jabeen hai
Na samjho hum ko mehroom-e-nazaara Woh husn ab bhi nigahon ke qareen hai
Ke dil mein ma-siwa-e-ism-e-Ahmedؐ Nahi hai, kuch nahi hai, kuch nahi hai