Mujhe Mustafa ﷺ ki ghulami ata ho Meri aur koi tamanna nahi hai Rahe un ki rehmat ka saya salamat Khudaya khudai ki parwah nahi hai
Gunahgar hoon main siyah-kar hoon main Khataon pe apni sharmsar hoon main Dar-e-Mustafa pe nigahain jami hain Nahi aur koi sahara nahi hai
Bari chahatein hain bari hasratein hain Dil-e-muztarib ki yeh kaifiyatain hain Umeed-e-karam hai jiye ja raha hoon Magar zindagi ka bharosa nahi hai
Na daulat na mansab na jah-o-jalalat Jo kuch hai toh hai un ke tukron ki barkat Yake az sugan-e-dayar-e-Nabi ﷺ hoon Mera aur koi hawala nahi hai
Amal se toh khali hai Anjum ka daman Bas ik un ki nisbat hai bakhshish ka saman Jale naar mein ho ghulam-e-Muhammad ﷺ Suna hai yeh un ko gawara nahi hai