Mujhe jo aaye to aaye qaza Madine mein Ke bakhshe jaate hain ahl-e-khata Madine mein
Qasam Khuda ki Madinah hai faiz ka markaz Khula hi rehta hai baab-e-sakha Madine mein
Gada ho shah ho ya ke koi zahid ho Har ek ki hoti hai haajat rawa Madine mein
Madinah kya hai rehmat ki ek basti hai Jagah jagah hai Khuda ki ata Madine mein
Zahe naseeb jo dekho bahaar-e-Bat-ha ki Behisht mein nahi jo hai maza Madine mein
Muraad milti hai munh maange Shah-e-Bat-ha se Qabool hoti hai har ek dua Madine mein
Nazara kijiye ja kar sunahri jaali ka Agar ho dekhni shaan-e-Khuda Madine mein Chalo Madinah ko Haadi chalo Madine chalo Yaqeeni hoga tumhara bhala Madine mein