Mujhe har saal tum Hajj par bulana Ya Rasool Allah Bulana aur Madinah bhi dikhana Ya Rasool Allah
Rahe har saal mera aana jaana Ya Rasool Allah Baqi-e-Pak ho aakhir thikana Ya Rasool Allah
Meri aankhon mein tum har dam samana Ya Rasool Allah Dil-e-veeraan ko jalvon se basana Ya Rasool Allah
Na daulat do na do koi khazana Ya Rasool Allah Sikha do ishq mein rona rulana Ya Rasool Allah
Nazar bhar kar shaha! main dekh loon phir Gumbad-e-Khizra Khudara phir sabab koi banana Ya Rasool Allah
Dawa ke vaaste bimar-e-isyaan dar pe hazir hai Na tum mayoos isay dar se phirana Ya Rasool Allah
Nuqoosh-e-ulfat-e-dunya mere dil se mita dena Mujhe apna hi deewana banana Ya Rasool Allah
Saliqa aap ki yaadon mein rone ka tadapne ka Paye Ghaus-o-Raza mujh ko sikhana Ya Rasool Allah
Paye Ghaus-ul-Wara, Ahmad Raza, Murshid Ziyauddin Ata ho ishq-o-masti ka khazana Ya Rasool Allah
Farishta maut ka ab aa chuka hai rooh lene ko Sar-e-baleen zara jaldi se aana Ya Rasool Allah
Khule hain daftar-e-aamal! haye! mera kya hoga! Bachana Shafe-e-Mahshar bachana Ya Rasool Allah
Yeh ganda hai nikamma hai yeh jaisa hai tumhara hai Tumhein Attar-e-Aasi ko nibhana Ya Rasool Allah