Mujhe bulalo Shah-e-Madinah, yeh hijr ka gham sata raha hai Main dar pe aaun yehi toh arman dil mein toofan macha raha hai
Hai sehna dushwar yeh judai, meri ho dar tak Shaha rasai Nahi bharosa hai zindagi ka, yeh dil mera dooba ja raha hai
Nahi tamannaye maal-o-daulat, nahi mujhe khwahish-e-hukumat Meri nazar mein haseen-o-dilkash, woh sabz gumbad sama raha hai
Yehi toh hasrat rahi hai dil mein, mujhe ajal bhi wahin pe aaye Jahan pe Aaqa hai pyara roza, yehi toh arman sada raha hai
Hai jholi khali ay Shah-e-Aali khara hai dar par tera sawali Ghareeb mangta muradein lene, ko haath gande barha raha hai
Ay be-nawa-o! gada-o aao!, pasare daaman safein banao Khazana rehmat ka baant-ta woh, Khuda ka mehboob aa raha hai
Gada-e-dar jaan-ba-lab hai Aaqa, niqab uthao dikha do jalwa Ho tishna-e-deed par inayat, jahan se pyasa hi ja raha hai
Main gor-e-teera mein aapara hoon, farishtay bhi aa chuke hain sar par Chale gaye naaz uthane wale, tera hi ab aasra raha hai
Hai nafsi nafsi chahar janib, nisar jaaun kahan ho Maula Chhupa lo daaman mein pyaray Aaqa, yeh shor-e-mahshar dara raha hai
Khuda-e-Ghaffar bakhsh de ab Habib ki laaj rakh hi le ab Hamara gham-khwar fikr-e-ummat, mein dekh aansoo baha raha hai
Saba jo phera ho koo-e-janan, toh ghamzada ka salam kehna Yeh arz karna ghareeb Attar kab Madinay ko aa raha hai