Mujh se kya ho yaan Huzoor ﷺ ki shaan Main kahan aur kahan Huzoor ﷺ ki shaan
Ibtida-e-jahan Huzoor ﷺ ki zaat Intiha-e-jahan Huzoor ﷺ ki shaan
Fakhr-e-roo-e-zameen Huzoor ﷺ ki zaat Naaz-e-haft-aasman Huzoor ﷺ ki shaan
Wajh-e-takhleeq-e-kainaat Huzoor ﷺ Zaib-e-kon-o-makaan Huzoor ﷺ ki shaan
Sarwar-e-anbiya Huzoor ﷺ ki zaat Khatam-ul-mursaleen Huzoor ﷺ ki shaan
Haami-e-bekasaan Huzoor ﷺ ki zaat Shafi-e-asiyaan Huzoor ﷺ ki shaan
Rehbar-e-rehbaran Huzoor ﷺ ki zaat Shah-e-shahanshehan Huzoor ﷺ ki shaan
Be-quyoode-zamaan Huzoor ﷺ ki zaat Be-hudoode-gumaan Huzoor ﷺ ki shaan
Saaye se ma-siwa Huzoor ﷺ ki zaat Saayeban-e-jahan Huzoor ﷺ ki shaan
Haan bayaan Hazrat Bilal ne ki Sar-e-reg-e-tapaan Huzoor ﷺ ki shaan
Keh ke Ya Ayyuhal-Muzzammil khud Ki Khuda ne bayaan Huzoor ﷺ ki shaan
Farsh se le ke Arsh-e-Azam tak Hai karaan ta karaan Huzoor ﷺ ki shaan
Naat kehna Sukoon mushkil hai Mujh se kya ho bayaan Huzoor ﷺ ki shaan