Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqe Ya RasoolAllah main sadqe Ya HabibAllah
Koi guftagu ho lab par tera naam aa gaya hai Tera zikr karte karte yeh maqam aa gaya
Jise pee ke Sheikh Saadi balaghal ula pukaray Mere dast-e-natawaan mein wahi jaam aa gaya hai
Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqe Ya RasoolAllah main sadqe Ya HabibAllah
Jitna diya Sarkar ne mujh ko utni meri auqaat nahi Yeh toh karam hai un ka warna mujh mein toh aisi baat nahi hai
Tu bhi wahin par ja us dar par sab ki bigri banti hai Ik teri taqdeer jagana un ke liye kuch baat nahi
Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqe Ya RasoolAllah main sadqe Ya HabibAllah
Tera wasf bayaan ho kis se teri kaun karega barai Is gard-e-safar mein gum hai Jibreel-e-Ameen ki rasai
Aye Raza khud Sahib-e-Quran hai maddah-e-Huzoor Tujh se phir mumkin hai kab midhat-e-Rasool ki
Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqe Ya RasoolAllah main sadqe Ya HabibAllah
Gham nahi chhor de yeh sara zamana mujh ko Mere Aaqa toh hain seene se lagane ke liye
Bakhsh di naat ki daulat mere Aaqa ne mujhe Kitna pyara hai waseela Sarkar ko paane ke liye