Mujh ko Taibah mein bulalo Shah-e-Zamany Dil ki hasrat yeh nikalo Shah-e-Zamany Shah-e-Zamany Aaqa ﷺ Makki Madany
Nagar nagar aur dagar phirta hoon maara maara Mujh dukhiya ko is duniya mein koi nahi sahara Mujh ko seene se lagalo Shah-e-Zamany
Jo bhi pahuncha tumre dar par lauta kabhi na khaali Har mangte ki jholi tum ne rehmat se bhar daali Tum ho aise hi diyalu Shah-e-Zamany
Hariyale gumbad ka manzar jannat se hai pyaara Kaabe ka kaaba roza pyaare Nabi ﷺ tumhara Jaali roze ka dikha do Shah-e-Zamany
Dua karo sab mil kar yeh Shahbaz madine jaaye Jaakar yeh darbar-e-Nabi ﷺ pe apna sees navaaye Kehna kadmon mein sula lo Shah-e-Zamany