Mujh ko dikha do jalwa Aaqa ﷺ Madine wale Main hoon tumhara sheyda Aaqa ﷺ Madine wale
Furqat ka gham mita do Roza pe ab bula lo Be-taab dil hai mera Aaqa ﷺ Madine wale
Meri yeh iltija hai jab waqt ho naz’a ka Ho Aap ka sahara Aaqa ﷺ Madine wale
Toofan-e-masiyat ko aane laga paseena Aasi ne jab pukara Aaqa ﷺ Madine wale
Kashti meri bhanwar mein Sarkar ﷺ aa gayi hai De do mujhe sahara Aaqa ﷺ Madine wale
Haq ki qasam woh jannat paaye ga hashr ke din Jo hai tumhare sheyda Aaqa ﷺ Madine wale