We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mujh Ko Aaqa Madine Bulana

Mujh ko Aaqa Madine bulana, sabz gumbad ka jalwa dikhana Tum niqab apne rukh se uthana apne qadmon se mujh ko lagana



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Aana aana mere sarwar aana, aakar aankhon mein meri samana Mujh ko ulfat ka saghar pilana, mera seena Madinah banana


Ab ghari haaye! rukhsat ki aayi, mah-e-Ramzan se hogi judai De do ab gham Madine ka de do mujh ko eidi mein Shah-e-Zamanah


Wastah ladli Fatimah ka, wastah Ghous-o-Ahmad Raza ka Wastah mere murshid Zia ka mujh ko deewana apna banana


Go gunahgar bhi hoon to tera gar chih badkar bhi hoon to tera Main siyah kar bhi hoon to tera bahr-e-khak-e-Madinah nibhana


Rukhsat ab mah-e-Ramzan ki hai Eid ya Mustafa aa gayi hai Gham Madine ka eidi mein de do az pay-e-Ghous Shah-e-Zamanah


Azm darhi ka jab se kiya hai jab se sar par amama saja hai Sab qabeela mukhalif hua hai Ya Nabi is pe tum raham khana


Ho gaya jurm sunnat pe chalna aur ulfat mein teri machalna Meethi sunnat se logon ka hatna aa gaya haaye kaisa zamanah


Too thahar ja zara rooh-e-muztar aanewala hai meetha Madinah Jabke aaye nazar sabz gumbad tan se ho jana us dam rawana


Jald dafnao mayyat khudara khul na jaaye kahin bhed sara Mere chehre se mere azizo! tum kafan ko na hargiz hatana


Hijr mein jo tarapte hain Aaqa yaad-e-Taibah mein rote hain Aaqa Dekh lein woh bhi Shah-e-Madinah sabz gumbad ka manzar suhana


Dushman-e-deen akar kar khara hai hasidon ka hasad barh chala hai Zulm har samt se ho raha hai jald Attar ko tum bachana

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah