Mujh khata-kaar sa insaan Madine mein rahe Ban ke Sarkar ka mehman Madine mein rahe
Yun ada karte hain ushshaq mohabbat ki namaz Sajda Kaabe mein ho aur dhyan Madine mein rahe
Allah Allah sarfarozi-e-sahra-e-Hijaz Saari makhlooq ka Sultan Madine mein rahe