Muhammad ﷺ ka gar ek sahara na hota Kahin be-kason ka guzara na hota
Woh sall-e-ala ek hamare hue toh Nahi toh Khuda bhi hamara na hota
Thikana na hota kahin aasiyon ka Unhein hashr mein jo pukara na hota
Agar Aap ﷺ ki chashm-e-rehmat na hoti Do aalam mein kuch bhi gawara na hota
Kise naat kehne ki taufeeq hoti Agar un ka shamil ishara na hota