Mubarak ho Habib-e-Rabb-e-Akbar aane wala hai Mubarak! Ambiya ka aaj afsar aane wala hai
Andheron mein bhatakte phirne walon ko mubarak ho Tumhein haq se milane aaj rehbar aane wala hai
Mubarak badnaseebon ko mubarak ho ghareebon ko Jahan mein bebason ka saya-gostar aane wala hai
Gunahgaro na ghabrao siyah-karo na gham khao Suno muzda Shafee-e-roz-e-mahshar aane wala hai
Liye parcham utar aaye hain Jibreel aasman se aaj Jahan mein aaj Maula ka payambar aane wala hai
Karo ghar ghar charaghan sabz parcham aaj lehrao Machao Marhaba ki dhoom Sarwar aane wala hai
Agar na aaj jhoomo ge to kab jhoomo ge deewano! Machal jao tumhara aaj yaawar aane wala hai
Tarawat kyun na ho hasil mere qalb-o-jigar ko aaj Jahan mein Bahr-e-Rahmat ka shinawar aane wala hai
Dil-e-ghamgeen ko mil jaye ga saman-e-rahat ka Suroor-e-dil, qarar-e-jaan-e-muztar aane wala hai
Jo hai sardar, aalam ke sabhi sajda-guzaron ka Khuda ka aaj woh saccha sanagar aane wala hai
Mubarak gham ke maro! gham ghalat ho jayenge saare Habib-e-Haq mudawa gham ka le kar aane wala hai
Jahan mein zulmaton ka chaak ho ga aaj se seena Khuda ke fazl se Mah-e-Munawwar aane wala hai
Bihamdillah imaan ab to mera le nahin sakta Arey chal bhaag shaitan mera yaawar aane wala hai
Khabar hai abr-e-rehmat aaj kyun duniya pe chhaye hain Jahan mein rehmaton ka aaj paikar aane wala hai
Mubarak ho Haleema Sa'diya tujh ko mubarak ho Teri godi mein kul aalam ka Sarwar aane wala hai
Utho ta'zeem ki khatir keh ghar mein Aaminah ke ab Wiladat ka woh lamha kaif-aawar aane wala hai
Uthao sabz parcham aur chalo sab Aaminah ke ghar Lutane rehmaten Haq ka payambar aane wala hai
Tasalli to rakho sairab bhi ho jao ge Attarؔ Chalakta jaam le kar Shah-e-Kausar aane wala hai