Mittay hain jahan bhar kay aalam Madinah mein Bigray huay bantay hain sab kaam Madinah mein
Aaqa ki inayat hai har gaam Madinah mein Hota nahi koi bhi na-kaam Madinah mein
Aye hajiyo! ro ro kar keh dena salam un say Lay jao ghareebon ka paigham Madinah mein
Aajao gunahgaro be-khauf chalay aao Sarkar ki rehmat to hai aam Madinah mein
Woh Shafi-e-Mehshar to bulwa kay ghulamon ko Detay hain shafa'at ka inaam Madinah mein
Chhero na tabeebo tum bimar-e-Madinah ko Is ko to milay ga bas aaram Madinah mein
Jitnay bhi muballigh hain ho khaas karam un par Sab aayen Shahanshah-e-Islam Madinah mein
Darbar mein jab pohanchun aye kaash! Shaha us dam Deedar ka ho jaye inaam Madinah mein
Aye kaash! keh ro ro kar dam tor doon qadmon mein Ho jaye mera bil-khair anjam Madinah mein
Allah qayamat tak jis ka na khumar utray Ulfat ka piyoon aisa ik jaam Madinah mein
Aye kaash! tarap kar main Sarkar lagoon girnay Aur aap mujhay barh kar lain thaam Madinah mein
Bulwa kay Baqi Aaqa Hasnain kay sadqay mein Eidi mein ata kar do inaam Madinah mein
Woh apnay ghulamon ko shafqat say pilatay hain Bhar bhar kay may-e-ulfat kay jaam Madinah mein
Insaan kay bajaye main aye kaash! muqaddar say Hota koi adna sa sag-e-gumnam Madinah mein
Jab Shah-e-Madinah nay parda kiya duniya say Wallah gaya tha mach kehram Madinah mein
Attar pe ab aisa aye kaash! karam ho jaye Makkah mein sahar guzray to shaam Madinah mein