Milta hai kya Madine mein ek baar ja ke dekh Karte hain maala maal woh daaman bicha ke dekh
Un ki gali mein maangte phirte hain taajdaar Tu bhi usi Kareem ke mangton mein aa ke dekh
Khairaat de ke kehte hain mangte ki khair ho Bin maange khair milti hai aa aazma ke dekh
Dhul jaayenge gunaah tere ho jaayega karam Dar par mere Habeeb ke aansu baha ke dekh
Aye chashm-e-Koh-e-Toor ki hai aarzu tujhe Khaak-e-dar-e-Rasool ka surma laga ke dekh
Aazaad hona hai agar har gham ki qaid se Lab pe Rasool-e-Paak ki midhat saja ke dekh
Wasif teri najaat ka hai raasta yahi Ulfat Nabi ki Aal ki dil mein basa ke dekh