Mili taqdeer se mujh ko Sahaba ki sana-khwani Mila hai faiz-e-Usmani mila hai faiz-e-Usmani
Rakha mahsoor un ko band un par kar diya paani Shahadat Hazrat-e-Usman ki beshak hai lasani
Nabi ke noor do lekar woh Dhun-Noorain kehlaaye Unhein hasil hui yun qurbat-e-mehboob-e-Rahmani
Nabi ne tere badle "Bai'at-e-Rizwan" mein ki bai'at Kaha Quran ne dast-e-Nabi ko dast-e-Yazdani
Tumhein ko Jami'-e-Quran ka haq ne diya mansab Ata Quran ko kar ke jama ki ummat ko aasani
Khuda bhi aur Nabi bhi khud Ali bhi us se hain naraz Adu un ka uthaye ga qayamat mein pareshani
Adawat aur kina un se jo rakhta hai seene mein Wohi badbakht hai mal'oon hai mardood-e-Shaitani
Hum un ki yaad ki dhoomein machayein ge qayamat tak Pare ho jaayein jal kar khaak sab a'da-e-Usmani
Imam-ul-askhiya! kar do ata hissa sakhawat ka Qana'at ho 'inayat, dein na daulat ki farawani
Mujhe apni sakhawat ke samundar se koi qatra Ata kar do nahi darkaar mujh ko taj-e-sultani
Ulu-e-shan ka kyon kar bayan ho aap ki pyare Haya karti hai Maula aap se makhlooq-e-noorani
Sukhan aakar yahan Attar ka itmam ko pahuncha Teri azmat pe natiq ab bhi hain aayat-e-Qurani