We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mila Be Kason Ko Sahara MadinaNot Verified

Mila bekason ko sahara Madina Humein jaan-o-dil se pyara Madina Jo khud dekh aaye yeh baat un se poochho keh hai kis qadr hiyaara pyara Madina Nahin hoteen ek baar seerab ankhen Khudaya dikha de dobara Madina Bhala woh samundar daboyega kaise keh ho saath jis ke kinara Madina Khuda kehta hai kaise khaoon na qasmain keh hai ya Nabi yeh tumhara Madina Sitare bhi lete hain anwar jis se Wohi hai wohi hai sitara Madina Bana deta hai pal mein Salman wa Buzar Woh hai Mustafai idarah Madina Hamaare aqeede ki hai jaan Nasser Hamara Madina hamara Madina



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah