Meri ulfat Madine se yun hi nahi, Mere Aaqa ka Roza Madine mein hai Main Madine ki janib na kaise khinchun, Mera deen aur duniya Madine mein hai
Makkah mein Umrah karna tha so kar liya Jis qadar us ka dam bharna tha bhar liya Ab Madine se doori gawara nahi, Aashiqon ka toh Kaaba Madine mein hai
Phir mujhe maut se koi khatra na ho, Maut kya zindagi ki bhi parwah na ho Kaash Sarkar ek baar mujh se kahein, Ab tera marna jeena Madine mein hai
Sarwar-e-Do Jahan se dua hai meri Haan ba-did-e-chashm-e-tar iltija hai meri Ke un ki fehrist mein mera bhi naam ho, Jin ka roz aana jaana Madine mein hai
Arsh-e-Aazam se us ki badi shaan hai, Rauza-e-Mustafa us ki pehchan hai Jis ka hum-palla koi mohalla nahi, Ek aisa mohalla Madine mein hai
Jab nazar su-e-Taibah rawana hui, Saath dil bhi gaya saath jaan bhi gayi Main Muneer ab rahun ga yahan kis liye, Mera sara asasa Madine mein hai