Meri qismat jagane ko Nabi ka naam kaafi hai Hazaaron gham mitaane ko Nabi ka naam kaafi hai
Ghamon ki dhoop ho ya phir hawaaen tez chalti hoon Mere us aashiyaane ko Nabi ka naam kaafi hai
Khushi ho ya koi gham ho Nabi ka naam leta hoon Ke har ek gham mitaane ko Nabi ka naam kaafi hai
Nabi ka naam leta hoon sukoon-e qalb milta hai Nabi ke us deewane ko Nabi ka naam kaafi hai
Jo poocha kamli-wale ne kaha Sadiq Akbar ne Mere saare gharane ko Nabi ka naam kaafi hai
Sulagti aag pe Habshi ke honton se sadaa aayi Meri bagri banane ko Nabi ka naam kaafi hai
Yahi kehta hai mehki bhi yahi sab log kehte hain Ke us saare zamane ko Nabi ka naam kaafi hai