Meri jholi ko bhar de aye Khuda sadqay Muhammad ﷺ ke Gunahgaaron ka bhi karde bhala sadqay Muhammad ﷺ ke
Hamare haal pe Data karam apna sada rakhna Tu hi shaitan se imaan walon ko bacha lena Hamein is aazmaish se bacha sadqay Muhammad ﷺ ke
Meri jholi ko bhar de aye Khuda sadqay Muhammad ﷺ ke
Samajhti hai yeh duniya apna hum imaan de aenge Magar imaan ki khatir hum apni jaan de denge Hamein is toofan se bacha sadqay Muhammad ﷺ ke
Meri jholi ko bhar de aye Khuda sadqay Muhammad ﷺ ke
Teri rahmat ko hum ro ro ke aye Maalik jagadenge Yeh parday aasman ke hum duaon se hila denge Hamein noor-e-nagar phir mila sadqay Muhammad ﷺ ke
Meri jholi ko bhar de aye Khuda sadqay Muhammad ﷺ ke