We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Mere Mushtaq Ko

Miray Mushtaq ko koi dawa do Ya RasoolAllah Dawa dekar shifaye kamilah do Ya RasoolAllah


Tabibon ne mareez-e-la-dawa keh keh ke tala hai Bana, nakaam un ka andiya do Ya RasoolAllah


Mera Mushtaq Maula kab talak tarpe ga bechara Dua bhi do dawa bhi do shifa do Ya RasoolAllah


Maray Mushtaq ke ujray chaman mein phir bahaar aaye Kali pajmurda dil ki tum khila do Ya RasoolAllah


Maray Mushtaq-e-ranjeeda pe ho chashm-e-karam Aaqa Becharay gham ke maaray ko hansa do Ya RasoolAllah


Karam se ab sar-e-baleen shaha tashreef le aao Isay deedar ka sharbat pila do Ya RasoolAllah


Shifa pa kar yeh naatein parh ke phir tarpane lag jaye Lu'ab apna isay aa kar chata do Ya RasoolAllah


Shaha Mushtaq kab tak dar-ba-dar ki thokarein khaye Kahan jaye bechara tum bata do Ya RasoolAllah


Karam kar do taras khao dukhi dil ki sada sun lo Bala Mushtaq se har ik hata do Ya RasoolAllah


Sunno ya mat sunno yeh rat lagaye jayenge hum to Shifa do Ya RasoolAllah shifa do Ya RasoolAllah


Faqat amraz-e-jismani ki hi karta nahi faryaad Gunahon ke marz se bhi shifa do Ya RasoolAllah


Yeh phir neki ki dawat ke liye doray jahan bhar mein Miray Mushtaq ko aisa bana do Ya RasoolAllah



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Shaha Mushtaq ko Hajj ki sa'adat phir ata kar do Bula kar sabz gumbad bhi dikha do Ya RasoolAllah


Raza par Rab ki raazi hain tumharay hum bhikari hain Hamari aakhirat behtar bana do Ya RasoolAllah


Gunahon se main tauba kar raha hoon rehna tum shahid Mujhay apnay Khuda se bakhshwa do Ya RasoolAllah


Mujhay sakrat mein kalma parha kar meethi meethi neend Karam se apnay qadmon mein sula do Ya RasoolAllah


Tumhari yaad mein har dam tarapta hi rahoon Aaqa! Miray seenay mein ishq aisa racha do Ya RasoolAllah


Mujhay izn-e-Madinah do tumhein sadqa nawason ka Dikha do gumbad-e-khizra dikha do Ya RasoolAllah


Meri tareek ratein jagmaga do az-paye Shaikhain Mujhay tum jalwa-e-zeba dikha do Ya RasoolAllah


Shaha Attar ka pyara hai yeh Mushtaq Attari Yehi muzda isay tum bhi suna do Ya RasoolAllah


Andheri qabr mein Attar par ab khauf tari hai Paye Qutb-e-Madinah jagmaga do Ya RasoolAllah

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah