Mere maula ho jaaye hazri Madinah ki Mere dil ko mil jaaye roshni Madinah ki Dil ki yeh tamanna hai karde poori ya maula Kaash mujh ko mil jaaye naukri Madinah ki Sara yeh jahan roshan sadaqe Shahr-e Tayyaba ke Sab jahaan ko milti hai roshni Madinah ki Shahr-e Tayyaba ne yaaro Aqa ke liye boose Is liye to roshan hai har gali Madinah ki Saare shehron se ooncha rutba hai Madinah ka Sab jahaan se afzal hai zindagi Madinah ki Main ne jab Madinah mein roze ka nazara kiya Umr bhar se afzal hai woh ghadi Madinah ki Tamanna hai yeh Saqib ki dafn hone ke waaste Do gaz zameen chahiye ya Nabi Madinah ki